I always believe life is mortal and we have very few time left to prove ourselves in the arena. I am a dreamer and will do all my efforts to make it true.
Saturday, December 13, 2008
Bus-Stop
Ek din bus-stop per bettha ,
Yu hi maine socha
main kaha kho gaya hu?
ye bhid jo paheley anjani lagti thi
aab meri jaisse lagti hai
katputtelwey ki tarah,
ungillwey ki isharo per taachti dikhti hai.
Pata hai mujko-
jidaagi bitana mushkill hai
per jina to aasan hai.
fir kyu paisso ki baazar main,
ham khud ko bech rahe hai?
kabhi ghar ki majbooriya,
kabhi boss ki dahaar,
kahi cigratte ka dhua,
kahi sharab ka sama
sabne hame jkaar dala hai.
Tabhi ek awaaj aaye dil se,
nahi..nahi..
main nahi badlungaa!!
jo sapney miray thi unhey pura kar ki rahungaa,
apna bachpan kudh ko lotaunga.
Aur ye lo bus vi aa gayi,
Bhid se bhari hui,
per ab wey alag dikh rahe thei.
Meri muskan wapas aa gayi
mujhe meri bus jo mil gayi..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment